Sunday, July 15, 2007


main aur meri awargi...


Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hain


Ki zindagi teri zulfon ki narm chhaon main guzarne pati to shadab ho bhi sakti thi.
Yeh ranj-o-gham ki siyahi jo dil pe chhayi hain

Teri nazar ki shuaon main kho bhi sakti thi.
Magar yeh ho na saka aur ab ye aalam hainKi tu nahin,

tera gham teri justjoo bhi nahin.
Guzar rahi hain kuchh iss tarah zindagi jaise,
isse kisi ke sahare ki aarzoo bhi nahin.
Na koi raah, na manzil,
na roshni ka suraagBhatak rahin hai andheron main zindagi meri.
Inhi andheron main reh jaoonga kabhi kho karMain janta hoon meri hum-nafas,

magar yoonhiKabhi kabhi mere dil main khayal aata hai

No comments: